Kyun pyar karne ki hadein hoti hein,
Kyun dil dene ki wajah hoti hein,
Kyun jazbaton ko dabana padta hai,
Kyun is dil ko samzana padta hai,
Kyun har dil ko ye mehsoos nahi hota,
Kyun sabko ye manzur nahi hota,
Kyun dil se dil nahi milta,
Kyun pyar ka phool nahi khilta,
Kyun dil ke nagme dil nahi gata,
Dil mein kya hai ye kah nahi pata,
Kya dil dene ki yahi saza hai,
Kya pyar karne mein yahi mazaa hai.

Related Posts with Thumbnails