Kuch nasha to aapki baat ka hai,
Kuch nasha to dheemi barsaat ka hai,
humein aap yun hi sharabi na kahiye,
Is dil par asar to aap se mulakat ka hai!

Boy: Janeman is dil mein aaja
Girl: Sandal nikalu kya? Boy: Pagli… ye mandir nahi hai aise hi aaja…..

Khuda kisi ko kisi pey fidaa na kare,
Kare to qayamat tak judaa na kare.
Ye maana ki koi marta nahi judaai mein,
Lekin jee bhi to nahi paata tanhaai mein!

Betab tamannao ki kasak rahne do,
Manjil ko pane ki jhalak rahne do,
Aap bhale hi raho dur najro se,
Par band palko me apni jhalak rahene do.

Udas nazron main khwab milenge,
Kahin kaante to kahin gulab milenge….
Meri dil ki kitab ko apni nazar se padh kar to dekho,
Kahin aap ki yaad to kahin aap milenge……..

Related Posts with Thumbnails